Friday, June 29, 2007

ghamoN kee gard, dukhooN ka gubaar aankooN meN

Ghazal:
~~~~~
1. ghamoN kee gard, dukhooN ka gubaar aankooN meN
dhaRak rahaa hai dil-e-sogawaar aankooN meN

2. nah koyii Khwab hai baaqi nah hee Khayaal koyii
bikhar gayaa hai miraa Khwaab-zaar aaNkhoN meN

3. tumhaare aane kee Hasrat bhee ho gayee ruKhSat
Thehar gayee hai rah-e-intizaar aankooN meN

4. najaane kaun saa lamHah samaiT kar laaYe?
tiraa yaqeen tiraa e'itbaar aankooN meN

5. lahoo lahoo hai "YaqeeN" kaa wajood ulfat meN
moHabbatooN kaa naheeN "e'itbaar" aankooN meN

6. dhuwaaN dhuwaaN hai chiraaGh-e-umeed ab "Raji"
keh bas gayee hai shab-e-sogawaar aaNkhoN meN
(Zahida Raees :Raji: )

No comments:

Blog Archive