Thursday, June 28, 2007

Use Khud se bichaR jaane kaa dukh~ hai

Ghazal:
~~~~~~
"q" 1. Use Khud se bichaR jaane kaa dukh~ hai
KhayalooN meN bikh~ar jaane kaa dukh~ hai

2. woh dil jo KhwahishooN kaa aashiyaaN thaa
usee gh`ar ke ujaR jaane kaa dukh` hai!

3. naheeN dunyaa kaa Gham lekin Khud apnee
nigaahoN se utar jaane kaa dukh~ hai

4. sawaalooN meN ulajh~ kar reh gayaa hai
jawaabooN ke bigaR jaane kaa dukh~ hai

5. kabh`ee sochaa nah th`aa jis raaste ko
usee reh se guzar jaane kaa dukh~ hai

6. dawaa tu be-acar thee muddatooN se
du,a'a,eN be-acar jaane kaa dukh~ hai

7. dukh~oN kee aandiyaaN, Allaah-o-akbar!
tamannahooN ke mar-jaane kaa dukh~ hai

8. naSeeboN kaa likh`aa th`aa, ph`ir bhalaa kyoN?
use jaaN se guzar jaane kaa dukh~ hai

9. kahaaN thaa Khauf :Raaji: aandhiiyooN kaa?
magar ab Khud se d'ar jaane kaa dukh~ hai

(Zahida Raees :Raji: )

No comments:

Blog Archive